WorksheetsMa'arefate Sau'm Contest - By KSIJK Exec Council
Total questions: 110
Worksheet time: 55mins
Q 1) Agar shakk ki surat me Roza nahi rakh kha aur baad me pata chala ke chand ho gaya tha to fir?
A) Kaffara aur Qaza Dono Wajib hain.
B) Iss Roze ki Qaza ada karein
Q 2) Bachchi baaligh huwi hai aur itni kamzor hai ke Roza nahi rakh sakti aur saara saal ye silsila rehta hai, yahan tak ke aglaa Mahe Ramazan aa jata hai. To kya uspar pichle Ramazan ki Qaza ma'af hai ?
A) Jii Nahi, Qaza waajib hai, albatta Fidya waajib Nahi hai.
B) Usko Fidya'a waajib hain, Qaza waajib nahi hai.
Q 3) Masud'hon (Gums) se khoon nikal aaya aur nigal liya. Humara Roze ka kya honga ...
A) Roza Baatil ho gaya.
B) Roza Sahih hai, agar be’ikhteyar nigal liya ho.
Q 4) Kya'a Galat ghusl se kiye gaye Rozon ki Qaza hai?
A) Bilkul Sahih - Qaza hain
B) Rozon ki Qaza Nahi hain
Q 5) RasoolAllah (s.a.w.s) ne farmaya ke jo shakhs halaal khajur se Iftaar karega uski namaz mein ________Namazon ka Izaafa kar diya jayega.
A) 400
B) 700
Q 6) Agar koi Ramazan ke wajib Roze me ya kisi bhi tarah ke Roze me tumahare aage bhool kar kuch kha pee raha ho to, usai rokna tokna ya yaad dilana ke tum Roze se ho ....
A) Waajib yaa Zaroori hain
B) Waajib yaa Zaroori NAHI hain
Q 7) Kab Iftaar karna Jaayez nahi hain ?
A) Jab tak Azaan na ho
B) Waqt ke bare me jab Shak ho
Q 8) Hadees e Rasul e khuda (s.a.w.s) ke mutabiq Sab se zyaada Baa Barkat khatoon woh hai_______________
A) Jinn ke Akhrajaat kam hon
B) Jo Namazi aur Parhezgaar hon
Q 11) Haamela Aurat jo 1st se 7th month main Roza nahi rakh sakti hon to uss ke liye kya hukm hain ?
A) Qaza aur 3 pav kaffara de.
B) Sirf Qazaa kare
Q 12) Gurde ki bimaari jismein baar baar paani peena bahut zaruri ho to wo mareez baade Maahe Ramzan jab Roza rakhne ke Kaabil ho jaaye to kya kare ?
A) Sirf Fidya de
B) Roza rakh khe
Q 13) Imam Ali (a.s) ne farmaya “Khuda ki naafarmaani karnewala _____hain, chahe woh dikhne mai kitna hi khubsurat aur shaan wala ho”.
A) Gunahgaar hain
B) Jaahil hain
Q 14) Anema lena Roze ko ___________ karta hai.
A) Makrooh
B) Baatil
Q 17) Halate Roze mein Pregnant lady Ultra Sound check up ya inside check up karwa sakti hai ?
A) Jii Haan
B) Jii Nahi
Q 18) Pehle Galat fehmi se kuch khaa liya phir Jaan bujh kar bhi kuch khaale ke ab to Roza toot hi gaya hai to uska yeh decision kaisa hain ?
A ) Sahih hai.
B ) Galat hain - Uss ko Qaza Roza rakhnaa padhega
Q 19) Baad Iftaar pata chala waqt nahi huwa tha. Waqt se pehle iftaar kar chukka hain to woh ab kya karega ?
A) Iss Roze ki Qaza karna hoga
B ) Roza Todne ka Kaffara wa Qaza dono karna hoga.
Q 21) Haamela aurat ko 8th & 9th month me nuqsan ka khauf ho to wo Roza chhod sakti hai. Baad main
A) Qaza aur 3 pav aata de gi.
B) Khaali Qaza kare gi.
Q 22) Rozedaar ko hayz, nifas ya safar (jo majbooran karna padha ) ka Uzr (Reason) pesh aa jaay’e, to uske liye kya Hukm hain ?
A) Woh Uzr ke dur hone ke baad, baaqi Qaza Roze rakhe.
B) Qaza ke Alaawa Fidya bhi adaa kare ga.
Q 24) Radio par Live Qura'n ki tilaawat suni to kya Sajdah waajib hain.?
A) Waajib nahi hain
B) Waajib hain
Q 27) Kaunse Din Aetikaf ko tod ke nahi jaa sakte ?
A) Second Day AUR Third Day
B) Third Day
Q 28) Kya ilaaj ke liye bhanp lena (steam) Roze ko baatil karta hai?
A) Jii Haan
B) Jii Nahin
Q 31) Imam Musa Kazim (a.s) ne farmaya Kamzoron ki imdaad karna _________________________
A) Afzal tareen Sadqa hain
B) Afzal tareen Ibaadat hain
Q 32) Jo log jaan boojh kar Roza nahi rakhte , unko khana pesh karna ______________
A) Haraam hain
B) Haraam Nahi hain
Q 33) Mahe Ramazan mein Fajr ke baad aankh khule aur uss par Ghusl waajib ho, to kya woh roza rakh sakta hain ( baghair sehri) ?
A) Jii Haan - Namaz ke liye Ghusl karna padhega
B) Jii Nahi, uss ka Roza Qaza ho gaya
Q 34) Fahash kalami karne waala, haraam gaana gaane waala, bure kaamo ko failaane wala aur adakaraaen wagaira ___________________ kehlate hain.
A) Munaafiq
B) Faasiq wa Faajir
Q 35) Kya'a Naabaaligh ka fitra nikalna zaruri hain ?
A) Jii Nahin
B) Jii Haan
Q 42) Ramazan me Roze se bachne ke liye Safar karna ____________hain.
A) Haraam
B) Makrooh
Q 44) Mahe Ramazan ke Aaakri Jumma'h ko Musalmaan kyaa manaate hain?
A) Yaum ul Quds
B) Yaume Qaza'a e Umri
Q 45) Gotaa khori (Diving) ka libaas pehenkar paani ke andar gaya yaa shower yaa nal ke niche sar dhoya to in suraton me Roza ....
A) Baatil ho jaata hain
B) Saheeh rehta hain
Q 46) Qala As Sadiq (a.s) “ Jo shakhs baghair Uzr (Reason) din me Iftaari kar leta hain to usse ______________ juda ho jati hai.”
A) Sawabe Saum
B) Ruh-e-Imaan
Q 47) Dakaar (Burpp) ki wajah se khayi hui giza munh me aajaye to usey phir se nigal sakte hain. Kya yeh _______ hain.
A) Sahi Hain
B) Galat Hain
Q 48) Kaffara Momin Fakir ko diyaa jataa hain. Momin Fakir Kaun hain ?
A) Jiske Kharche zyaada hain aur Aamdani kam hain
B) Aamdani zyaada hain aur Kharch bhi Zyaada hai
Q 50) Kya Behosh hone se Roza Baatil ho jaata hai ?
A) Jii Nahin
B) Jii Haan
Q 51) Haalate Roza me Insulin / injection lagana ____________ hain.
A) Jaayez hain
B) Jaayez Nahi hain
Q 52) Roze ke baare me Ek Qura'ni Ayat bataaye ?
A) Sure Baqarah: 158
B) Sure Baqarah: 185
Q 53) Mubtelate Roza kaun sa Nahi hain ?
A) Jaan Bujhkar Qay karna
B) Surma lagana
Q 54) Etekaaf ke Teesre (3rd) Din ka Roza __________hain.
A) Waajib
B) Mustahab
Q 55) "Yaf Alullah Ma Yasha-o _______ Wa Yah-komo Ma Yureedo ________
A) Be Izzatehi, Be-Qudratehi
B) Be-Qudratehi, Be Izzatehi
Q 56) “Dil ka Roza zabaan ke Roze se behtar hai aur zabaan ka Roza________ kay Rozey say behtar hai.”
A) Muh (Mouth)
B) Pet (Stomach)
Q 57) Kya Aetikaf sirf Mahe Ramzan main hota hai ?
A) Jii Haan
B) Jii Nahin
Q 59) Rasool (s.a.w) ka Safar-e-Meiraaj kahan se Shuru huwa ?
A) Masjidul Haram se
B) Baitul Muqaddas se
Q 60) Agar koi Rozedaar, Roza Baatil karne waala kaam kare, aur phir Dusraa Haraam kaam bhi kare jo Roze ko Baatil karta hai, to kya usay 2 ( Do) Kaffare dene honge ?
A) 2 Haraam kaam ke liye 2 Kaffare Waajib hain.
B) 1 Kaffara kaafi hain.
Q 61) Rishton mein Taalluqa'at ki kharabi ko sahih karne ke liye kaunsa Surah pad’hna chahiye ?
A) Sure Muzam'mil
B) Surah Ma’arij
Q 62) Rasool e Khuda (s.a.w) farmate hai
A) Israaf ki ek qism ye bhi hai ke insaan her uss cheez ko khaaye jise uska man kare.
B) Israaf ki ek qism ye bhi hain ke insaan har us cheez ko khaaye jo Dastar khawan par hon.
Q 64) Kya 60 (Sixty) Qaza Roze main 10 (Dus) Qaza Roze Rakhle aur 50 (Pachas) Miskeen ko Khaana Khila De ?? Aisa kar sakte hain ??
A.) Jii Haan
B) Jii Nahi
Q 65) Jo kisi wajah se Ramazan me Roza na rakh sake, majburi se jaise safar main hon to usko chahiye ki pet bhar ke khana khane se parhez kare - kyunke yeh _____________
A) Makrooh hain
B) Mustahab hain
Q 66) Khudawande Aalam ne Roza iss liye waajib kiya hai takey Iske zariye bandey ke _____________ ka imtehaan liya jaa sakey.”
A) Sabr
B) Khulus
Q 67) Jo Sure Qadr 10 martaba pad’he to Allah (s.w.t) uske _______ Gunah maaf karta hai
A) 1000
B) 700
Q 68) Ziyada khane se bachte raho kyonki ye Allah ki Ita’at mein Su'sti aur Kaano Ko Nasiha't sunne se behra kar deta hai, Yeh kiski Hadees hai ?
A) Ameerul Momineen (a.s) ki Hadees hain.
B) Rasool (s.a.w.s) ki Hadees hain
Q 69) Ek Ladki ne, jise bulooghiyat ke waqt ahkaam se naa-waaqifi hone ki wajah se Roze nahi rakhe., Kyunke usey aur uske waaledain ko pata nahin tha. Kya iss Ladki ko Qaza aur Kaffara dono karne honge?
A) Jii Nahi - Uss par sirf Rozo'n ki Qaza hain
B) Jii Haan - Roze ki Qaza aur Kaffara Dono waajib hain.
Q 70) Wo shakhs jise maaloom na ho ke uske zimme Mahe Ramazan ka koi Qaza Roza baaqi bhi hai ya nahi, to kya woh Mustahab Roza rakh sakta hai?
A.) Rakh sakta hai
B.) Pehle thode Qaza Roze rakh le.
Q 71) Teen (3) baaton se Iftaari ka sawab kam ho jaata hai. 1) Gheebat 2) Israaf wa tabzeer 3) Naa Jaayez Mazaaq - Yeh kis Ayatullah ka farmaan hain ?
A) Ayatullah Behjat
B) Ayatullah Gulpaygaani
Q 72) Quran e Majeed ka Waajib Sajdah kaunse Surah main hain.
A) Surah Najm
B) Surah Naml
Q 73) Imam Baqir (a.s) ne farmaya ke “ Qura'n ki Bahaar _________ main hain”
A) Shabe Qadr ki Ra'ato
B) Mahe Ramzan
Q 74) Ahmed ne Qaza Roza rakha hain. Zohar se pehle u’se Ek Momin ne Dastarkhwan par saath main khaane ko bulaaya. Kya uski Da'awat qabool karke Ahmed ne theek kiya ?
A) Jii Nahi
B) Jii Haan
Q 75) Qala Nabi (s.a.w.s) “Jannat ka ek darwaza hai jiska naam ________ hai uss darwaze say sirf Rozedar hi jaayenge.”
A) Baab Ar - Rayyan
B) Baab Al - Iman
Q 76) Kya ¾ kg aata yaa chawal ke badle main Cash (Rs.) de sakte hai ?
A.) Jii Nahi
B) Jii Haan
Q 77) Kaffara aur Fidyaa kis Afraad ko dena chahiye ?
A) Jo Shia hon, Namaazi hon aur Faasiq Na hon.
B) Kisi bhi Ghareeb ko de sakte hain
Q 78) Agar taakheer ka kaffara is saal adaa nahi kiya, to kya agle saal zyaada dena hoga?
A) Jii Nahi
B) Jii Haan
Q 79) Kis imam ki Hadees hai ke Rozedaar ki Dua Iftaar ke waqt mustajaab Hoti hai?
A) Imam Muhammad Baqir (a.s)
B) Imam Moosa Kazim ( a.s).
Q 80) ____________ ke liye Insaano ka Quran ke upar nigah karte huwe tilawat karna se zyada koi cheez sakht nahi hai.
A) Jinnat
B) Shaitaan
Q 81) Aetikaf ek Mustahab ibadat hai jisme kuch sharto ke saath __________ main rehte hain.
A) Masjid
B) Aza'a Khaana
Q 82) Kya Kaffare adaa karne se pehle Roze ki Qaza karna zaruri hai?
A) Kaffare se pehle roze ki Qaza kare
B) Isme tarteeb nahi hai
Q 83) Jo bhi Shabe Qadr ko Ibaadat ke saath jaag kar guzaarega to________
A) Ayaenda saal tak azaab usse utha liya jayega
B) Ayaenda saal tak Bimaari Uss ke kareeb nahi aayengi.
Q 84) Kya Ghair Sayyad ke Rozon ka Kaffara Sayyad ko de sakte hain?
A) Jii Nahin de sakte
B) Jii Haan de sakte hain
Q 85) Zyaada khane ki mazammat mein Rasool (s.a.w.s) farmaate hain ke Agar kisi ghar ke rehne wale ki Kam khuraak hon to woh ghar kaisa hota hai?
A) Ba barkat hota hain
B) Noorani hota hain
Q 86) Ayatullah Seestani ke fatwe ke hisaab se Marhum Baap ke Qaza Roze ka kya hukm hai ?
A) Marhoom Baap ke Qaza Rozo'n ke Ek Roze ke badle ¾ kg Aatta gharib momin ko de.
B) Qaza Roze rakh khe
Q 87) Kis ne farmaya ke jiski Khuraak kam hoti hai to uski Umr zyaada hoti hai?
A) Hazrat Luqman ne apne bête ko
B) Hazrat Dawood ne apne bête Sulemaan ko.
Q 88) Hadeese Rasool (s.a.w.s) ke mutabiq Rozedar har haalat main ibaadat main rehta hain magar ek haalat main uss ko baahar nikaal diya jata hain jab wo __________ karta hain.
A) Gussa
B) Gheebat
Q 89) Qala As-Sadiq (a.s) “Neki ki jazaa 10 (dus) barabar di jati hai. Inhi har nekiyon main se har mahina Teen (3) din Roza rakhna _____________ke Roze ke baraabar hai.”
A) 70 dino
B) 1 Mahine
Q 90) Allahumma Rabbil Nuril Azeem Dua'a ka sawaab kitna hain ?
A) Ek Hazar Rakat Namaz pad’hne ka sawaab milta hain.
B) Is ka sawaab yeh hai ke uske amaal Nabiyon aur Siddiqeen ke saath buland kiye jaate hain.
Q 91) Hadees: “Un logon ki nekiyon ko gubaar (smoke) ki tarha banaa kar udaa diya jaayega jo _______ aur ______ the, magar jab unke saamne haraam aata tha to usey bhi anjaam de dete the”
A.) Namaz guzaar aur Rozedaar
B.) Imaandaar aur BaaAmal
Q 92) “Allahumma Rabbil Nooril Azeem” Iftaar ki ek Jaleel-ul- qadr dua hai isei Rasool (s.a.w.s) ne kisko taleem di thi?
A) Sayyeda Zahra (s.a) Ko
B) Ameerul Momineen (a.s) Ko
Q 93) Mahe Mubarak Ramazan ki har raat Allah 1 jama’at ko aag se nijaat ataa karta hai, lekin ____________ khelne waala iss inaayat se mehroom rehta hai. (Wasaaelush Shia CH 102)
A) Kutto (Dog) se
B) Shatranj (Chess)
Q 94) Tumhari Namaaz Roze ki haalat mein likhi jaayegi agar tum ?
A) Namaz ko Iftaar par tarjeeh donge.
B) Agar iftaar awwale waqt kar longe.
Q 95) Hadees: Jo baghair wuzu kiye sotaa hai uska Bisstar ____________ aur woh ___________ hain.
A) Qabar hain…......Murda laash
B) Sehraa hain........... Musaafir
Q 96) Hadees-e Rasul (s.a.w.s) ke mutabiq jab koi Faasiq aur Faajir ki taarif karta hai toh ______________________________
A) Woh bhi uss jaisa hon jaata hain.
B) Toh Arshe Illahi kaanp uthta hai aur Allah gazabnaak hota hain.
Q 97) Fitra kab tak de dena hain ?
A) Agar Namaz- e- Eid padh rahe hain to namaz padhne se pehle.
B) Roz-e- Eid kabhi bhi de sakte hain.
Q 98) Jis shakhs ko Fidya ya Kaffara diya jaa raha hon to kya usey batana zaruri hai ke ye Fidya ya Kaffara hai?
A) Zaroori Nahin hain.
B) Zaroori hain.
Q 99) Kya Eid ki shab ko Fitra nikaal kar de sakte hain ?
A) Jii Nahin
B) Jii Haan
Q 100) Kisi per ghusl waajib hon aur woh Jaan bujh kar ya sharam ki wajah se itni der kare ke sirf tayam’mum karne ka waqt baqi reh ja’ayee to kya woh tayam'mum karke Roza rakh sakhta hai?
A) Gunhegaar hoga lekin Roza Sahih hoga
B) Roza Sahih Nahi hoga
Q 101) Agar koi shakhs sehri main Khaana khaata raha aur usko baad mein pata chala ke sehri ka waqt khatam ho chuka tha to iss roze ka kiya hukm hain ?
A) Sirf Roze ki Qaza karna hoga.
B) Roze ki Qaza aur Kaffara dena hoga.
Q 102) Agar naukri ki ya kaam ki nau’iyat (type of job) aisi ho ke Roza rakhna dushwar ho, to kya roza chhod sakta hain ?
A) Haan
B) Nahi
Q 103) Girls 9 Islamic years complete kar leti hain toh baaligha ho jaati hain. English dates main __________ki ho jaaye toh baaligha ho jaati hain.
A) 8 years 8 months 10 days
B) 8 years 7 months 15 days
Q 104) Waqt e Roza shuru ho jaaye to jo Luqma (Morsel) Muh (Mouth) main ho usay kya kare ?
A) Nigal le (Swallow or Gulp it )
B) Nikaal de ( Spit it or Throw it )
Q 105) Haalate Roze me kya Eyes, Ears, Nose main Drops daalna jaayez hai ?
A) Haan - Jaayez hain
B) Jaayez Nahi hain
Q 106) Rozedaar bhai ko iftaari karwaana Rozedaar ke_________se behtar hain.
A) Roze
B) Ibaadat
Q 107) Farz Namaz main iss Sure ko padhnese bad naseebo ka naam khush naseebon ki fehrist mein likh diya jaayega.
A) Sure Kausar
B) Sure Kaferoon
Q 108) Roze me jaan bujhkar Ulti (vomit) karne se hi Roza baatil hota hai warna nahi hota.
A) Sahi hain
B) Galat hain
Q 109) Roze ki haalat main Lazeez ( delicious) khaane ki cheezon ko dekh kar muh se jo paani nikle to woh paani ko nigalna ______
A) Jaayez Nahi hain
B) Jaayez hain
Q 110) Imam Jaffer e Sadiq (a.s) ke mutabiq kis cheez se Iftaar karne se Dil ki aaludgiyon (ghandagi) ko dho deta hain ?
A) Namak se
B) Paani se
