Wayground logo

Free Printable Worksheets

Font size

S
M
L
XL
Worksheets

Quiz on quranic surah

Total questions: 40

Worksheet time: 20mins

Name
Class
Date
1.

Musabbihat kise Kehte Hai?

a)

Woh surtein jismein Qayamat ka tazkeera ho

b)

Woh surtein jo Allah ki Tasbeeh se shuru hote hai

c)

Woh surtein jismein ehkammat ho

2.

Hashr ke kya maana hai?

a)

Logon ko qabron se jagana.

b)

Logon ko Allah ka khaof dilaana

c)

Logon ko ekhatta karna

3.

Surah Hashr ke mutabiq kaon 2 barabar nahi ho sakta?

a)

Duniya aur Akhirah

b)

Momin aur kaafir

c)

Dozakh aur jannah

4.

Raheem ya Rehman kaonsi siffat Sirf ek momin ke liye Qayamat ke din hogi?

a)

Rehmaan

b)

Raheem

c)

All of the above

5.

Allah ke Sirf 99 names hai?

a)

True

b)

False

6.

Surah Hashr aur surah juma'a Mein kaonsi 2 Allah ki siffat on ka bayaan hai?

a)

Malikul Quddus

b)

Khali qul Bari

c)

Rehman ya Raheem

7.

Surah Hashr Mein bayaan hua ghazwa kab pesh aaya?

a)

4 hijri rabbi ul awwal (before badr)

b)

4 hijri rabbi ul awwal (after badr)

8.

Surah Hashr Mein kaafir aur momin ke beech kiya gaya ohad ka kya Naam tha?

a)

Suleh Hudaibiyah

b)

Al uqbah e aman

c)

Mesaqe Madina

9.

Kis quraish sardar ke Kehne par Rasool s. a. w ko qatl karne ki sazish ki gayi thi?

a)

Kaab bin ashraf

b)

Abu sufiyan

c)

Qusayy ibn kilab

10.

In Mein se Maal e fae kise Kehte Hai?

a)

Woh Maal jo kaafiro se ladkar haasil ho?

b)

Woh Maal jo yahoodiyon se ladkar haasil ho?

c)

Woh Maal jo kaafiro se lade baghair haasil ho.

11.

Surah Hashr v-19mein Humein kya nahi karna chahiye?

a)

Allah se shirk

b)

Allah ko bhoolna

c)

Allah ki nashukri

12.

Surah Hashr ke mutabiq kisko Maal e fae ki haajat nahi thi?

a)

Muhajir

b)

Ansar

c)

Both

13.

Banu Nazeer ghazwa kyu bina lade haar gaye?

a)

Musalmano ki tedaat se darr gaye

b)

Ansar aur muhajir ki ittehaad dekhkar darr gaye

c)

Allah aur uske rasool ki mukhalefat ki

14.

Surah Hashr V-9 kaon log falah paa gaye?

a)

Jo dil ki tangi se bach gaye

b)

Jisne Saleh amal kiye

c)

Jo Allah ka taqwa rakhe

15.

Surah Hashr Mein Ansar ke baare Mein Kya nahi kaha gaya?

a)

Muhajiro se mohabbat karte hai

b)

Apne Maal Mein se kharch nahi karte

c)

Apne zaat par doosro ko tarji dete

16.

Surah Hashr Mein kisko shaitaan ki tarha bataya gaya hai?

a)

Yahoodiyo

b)

Kaafiro

c)

Munafiqo

17.

Surah MUMTAHANA Mein muhajareen aurton ko kya nahi bait karne ko kaha gaya?

a)

Allah ke Saath kisi ko shareek na karna

b)

Bohtan na lagana

c)

Chugli na karna

d)

Zina na karna

18.

Rasool s. a. w ne Hatib bin Abu balta ko kyu maaf kar diya?

a)

Muhajir the

b)

Badri sahabi the

c)

Ansar the

19.

MUMTAHANA ka kya Matlab hai?

a)

Woh aurat jo imtihan legi

b)

Woh aurat jiska imtihan liya jaaye

c)

Woh aurat jo imtihan nahi degi

20.

Surah MUMTAHANA Mein v-4Allah apne momin bando ko kuffar se dosti na karne ki takeed karte hue kis rasool ka namoona pesh hua hai?

a)

Roohullah

b)

Kaleemullah

c)

Khalilullah

21.

Kya koi momin apne kaafir waldain ke liye Astaghfaar ki dua kar sakta hai?

a)

True

b)

False

22.

Surah MUMTAHANA Mein kis qism ke kaafir se dosti nahi ki ja sakti hai?

a)

Mawasaat

b)

Mawalaat

c)

Madaraat

23.

Surah MUMTAHANA v-11 Mein Woh kaonse sahaba the jinhone apne do biwiyon ko tallaq di.... Jab Allah ne farmaya musalmaan auratein kaafiro par aur kaafir mard musalman par halal nahi?

a)

Omar R. A

b)

Jabir R. A

c)

Zaid R. A

24.

Haz. Zainab R. A ka dobara nikah Abul aas bin Rabi se rasool s. a. W. ne kaise karwaya?

a)

Naya mehar muqarar hua

b)

Pehle nikah ke mehar par laotaya

c)

Unhe tallaq dilwayi

25.

Jo musalman aurat kafiron se ja mile aur uske musalman shohar ko iska diya hua mehar ada na kare to kya....

a)

Is musalmaan shohar ko kharch Maal e ghanimat se diya jaaye

b)

Is musalmaan shohar ko kharch baitul Maal se diya jaaye

c)

All of the above

26.

Kya muhajareen mard aur aurat ka aap s. a.w se baith karne ka tareeqa ek nahi tha?

a)

True

b)

False

27.

Rasool s. a.w jumah ki namaz Mein kaonsi surtein padhte the?

a)

Juma & saff

b)

Juma & Munafiquoon

c)

Juma & hashr

28.

Surah juma kiska joda hai?

a)

Munafiqoon

b)

Mujadilaah

c)

Saff

29.

Surah juma v - 5 Mein yahoodiyon ko gadhe ki tarha kyu bataya gaya?

a)

Taorat padhte nahi the

b)

Taorat par yaqeen nahi tha

c)

Taorat par amal nahi karte the

30.

Jab Mecca mein aap s. a. w par Quran naazil hua to kitne log padhna likhna jaante the?

a)

17

b)

19

c)

21

31.

Surah MUMTAHANA v- 13 kuffar ke kis kaifiyat ka zikr hua hai?

a)

Raaste se beshak chuke hai

b)

Akhirat se mayoos ho chuke hain

c)

Hidayat se mehroom ho chuke hain

32.

Surah MUMTAHANA v-7 Mein Allah momino aur kaafiro ko lekar kis cheez par ishaara kar raha hai?

a)

Nafrat ka

b)

Mohabbat ka

c)

Azmaish ka

33.

Allah ne surah Hashr ke ghazwe Mein musalmano ko kis tarha ghalib kiya?

a)

Kaafiro ke dilon Mein hidayat daalkar

b)

Kaafiro ke dilon Mein raob daalkar

c)

Kaafiro ke dilon Mein bimari daalkar

34.

Jab Rasool s. a. W. ne Muhajir aur ansar ko bhai - bhai banaya to Hz.Abdurrehman bin Aof ko kiska bhai banaya tha?

a)

Saad bin abi waqqas

b)

Saad bin Maudh

c)

Saad bin Rabi

35.

Surah MUMTAHANA.... "Rabbana latajalna fitnatallilazeena kafaro waghfirlana rabbana innaka antal azeezul Hakeem." Yeh kis cheez ke liye dua hai?

a)

Kaafiro ko fitna na banane ke liye

b)

Akhlaqi miyaar se na girne ki dua

c)

All of the above

36.

Surah juma 'a v-10.mein Allah ke fazal se kya muraad hai?

a)

Namaz

b)

Rizq

c)

Ilm

37.

Surah Juma 'a v-9 Musalmano ko kya hukm ho raha hai?

a)

Namaz ki azaan di jaaye to khareed o farokht chod do

b)

Khudbah chhodkar tijarat ke liye na jaaye

c)

All of the above

38.

Juma ke din kya karna masnoon nahi hai?

a)

Ghusl karna

b)

Surah kahf padhna /darood padhna

c)

Khutbah na sunna

d)

Ache aur saaf kapde pahanna

39.

Surah Hashr, Ayat #5 me من لينةٍ se kya murad hai ?

a)

Qile ki mazbooti

b)

aag lagana

c)

Khajoor ka dharakht

40.

Imaan billah ka asal taqaza kya hai

a)

Tauheed

b)

Taqwa

c)

Akhira